Muslim Ansari

agar na zohra-jabinon ko be-wafa kahiye

Muslim Ansari

Gorakhpur, Uttar pradesh, India

1920
agar na zohra-jabīnoñ ko be-vafā kahiye
to phir taġhāful-e-paiham pe un ko kyā kahiye
huzūr kyuuñ mirī har baat nā-ravā kahiye
burā huuñ maiñ to yaqīnan mujhe burā kahiye
hasīn yuuñ to zamāne meñ kaj-adā haiñ sabhī
magar savāl ye hai kis ko kaj-adā kahiye
ḳhamoshiyoñ pe jafāoñ kā jab ye aalam hai
to phir hasīnoñ se kis tarah mudda.ā kahiye
jo luT hī jaanā ba-har-hāl hai ma.āl-e-safar
to kyuuñ na rahzan-e-manzil ko rahnumā kahiye
yahī vafā kā hai dastūr bhī taqāzā bhī
ki har jafā ko sitamgār kī adā kahiye
butoñ ko shauq-e-ḳhudā.ī huā hai ai 'muslim'
janāb aap bhī patthar ko ab ḳhudā kahiye
Top Urdushayar.com