Arif Farhad

mujhe ba-faiz-e-tafakkur hua hai ye idrak

Arif Farhad

mujhe ba-faiz-e-tafakkur huā hai ye idrāk
chamak uThūñgā kisī roz maiñ sar-e-aflāk
kis auj-mauj meñ mujh par khulā hai ye ahvāl
zamīñ se tā-ba-falak uḌ rahī hai merī ḳhaak
ajab nahīñ ki nayā āftāb ubharne tak
ḳhalā ke haath pe gardāñ rahe zamīñ kā chaak
yaqīn bhī thā use hijr kā magar phir bhī
sabā ke pahlū se lipTī bahut chaman kī ḳhaak
ye ḳhaak hī mirī zanjīr ban ga.ī varna
mirī nigāh meñ jachtī nahīñ koī poshāk
Top Urdushayar.com