Syed Mazhar Jameel

yaadash-ba-KHair saya-fagan ghar hi aur tha

Syed Mazhar Jameel

yādash-ba-ḳhair sāya-fagan ghar hī aur thā
lauTā musāfirat se to manzar hī aur thā
dekhā ajiib rabt anāsir ke darmiyāñ
badlā jo āsmāñ to samundar hī aur thā
phir yuuñ huā ki apne hī mehvar se haT ga.ī
varna to is zamīñ kā muqaddar hī aur thā
vo yuuñ lagā hai turra-o-dastār ke baġhair
jaise miyān-e-dosh vahāñ sar hī aur thā
vo naunihāl jis kī numū hai mirā lahū
niklā jo mere qad se to paikar hī aur thā
asbāb-o-zād-e-rāh tale dafan ho gayā
pahne thā jo bagūle vo lashkar hī aur thā
mamnūn-e-iltifāt-e-tavajjoh rahā hai jo
ik shaḳhs baiThā mere barābar hī aur thā
'maz.har' ko pūchhte ho to bas itnā jaan lo
biite hue dinoñ kā vo 'maz.har' hī aur thā
Top Urdushayar.com