pata raqīb kā de jām-e-jam to kyā hogā
vo phir uThā.eñge jhūTī qasam to kyā hogā
adā samajhtā rahūñgā tire taġhāful ko
tavīl ho ga.ī shām-e-alam to kyā hogā
jafā kī dhuup meñ guzrī hai zindagī saarī
vafā ke naam pe jheleñge ġham to kyā hogā
abhī to charḳh sitam ham pe Dhaa.e jaatā hai
zamīñ na hogī jo zer-e-qadam to kyā hogā
maiñ Dar rahā huuñ ki zāhid kī ḳhushk bātoñ se
sarāb ban gayā bāġh-e-iram to kyā hogā
ḳhud apnī mauj-e-nafas se ye zāhidān-e-kirām
bujhā rahe haiñ charāġh-e-haram to kyā hogā