zindagānī vo mo'atabar hogī
jo mohabbat ke naam par hogī
hogī phūloñ kī manzilat ma.alūm
umr kāñToñ meñ jab basar hogī
dil rahegā to ḳhūn-e-dil hogā
ashk hoñge to chashm tar hogī
jo tujhe dekh ke palaT aa.e
vo nazar bhī koī nazar hogī
raat to din kī ik alāmat hai
raat hogī to ik sahar hogī
rāt-bhar ham jaleñge furqat meñ
raushnī aaj rāt-bhar hogī
bekalī kā gumāñ 'atash' thā magar
ye na samjhā thā is qadar hogī