hasrat-e-pā.emāl meñ gum haiñ
ham fareb-e-ḳhayāl meñ gum haiñ
bujhtī yādoñ ke surma.ī saa.e
shām-e-rañj-o-malāl meñ gum haiñ
ham hisār-e-vajūd ke rah-rau
gardish-e-lā-zavāl meñ gum haiñ
sham.a insāniyat ke nūr-faroġh
zulmat-e-infi.āl meñ gum haiñ
vo abad tak uruuj kā partav
ham azal se zavāl meñ gum haiñ
ab bhañvar meñ phañsā hai māhī-gīr
machhliyāñ jaal jaal meñ gum haiñ
lāla-o-gul ye mahr o maah o nujūm
sab tire ḳhadd-o-ḳhāl meñ gum haiñ
shām-e-ġham kī hazār-hā shāmeñ
mere jām-e-sifāl meñ gum haiñ
hijr kī be-panāh rātoñ meñ
log shauq-e-visāl meñ gum haiñ
kashtī-e-zīst khe rahe haiñ 'atash'
bahr kār-e-muhāl meñ gum haiñ