har gosha-e-ālam meñ zamāne kī sadā huuñ
maiñ vaqt pe chaltā huā naqsh-e-kaf-e-pā huuñ
ai dasht-e-taḳhayyul tirī ḳhāmosh navā huuñ
maiñ naqsh-e-haqīqat huuñ magar ḳhvāb-numā huuñ
ik ālam-e-duniyā hai mirī zaat ke andar
maiñ aag bhī miTTī bhī huuñ paanī huuñ havā huuñ
do laḳht huā huuñ maiñ tirī jalvagarī se
aisī hai chakāchaund ki saa.e se judā huuñ
din bhar kī 'atash' dhuup ko dāman meñ sameTe
maiñ shaam ke sūraj kī tarah Duub rahā huuñ