abr chhāyā na koī abr barastā guzrā
ab ke sāvan bhī kaḌī dhuup meñ jaltā guzrā
yā sar-e-rāh kabhī TuuT ke taare barse
yā kisī chāñd kā bujhtā huā saaya guzrā
ham jalāte rahe har-gām mohabbat ke charāġh
vo rah-o-rasm kī har sham.a bujhātā guzrā
ham guzar jaate haiñ har duur se aise jaise
ek aañsū kisī chehre se Dhalaktā guzrā
sochtā huuñ ki badalne paḌe kitne chehre
zindagī guzrī hai apnī ki tamāshā guzrā
jāda-e-umr 'atash' paañv kī gardish Thahrī
dasht simTā na kabhī dāman-e-sahrā guzrā