ā.īna kī be-riyā tasrīh le kar kyā kareñ
aap apne daur kī talmīh le kar kyā kareñ
bāharī duniyā ko dānoñ meñ phirānā ḳhuub hai
mimbar-o-mehrāb meñ tasbīh le kar kyā kareñ
kū-ba-kū khulte nahīñ nikhrī huī ġhazloñ ke baaġh
imtizāj-e-fursat-e-tafrīh le kar kyā kareñ
is munāfiq daur ne jiinā hameñ sikhlā diyā
ab zamīr-e-ḳhufta kī tauzīh le kar kyā kareñ
ālam-e-hairat meñ goyā haiñ 'jamīluddīn' aap
aap ke ash.ār kī tashrīh le kar kyā kareñ