us kā badan bhī chāhiye aur dil bhī chāhiye
surḳhī-e-lab bhī gaal kā vo til bhī chāhiye
ye kārobār-e-shauq hai be-gār to nahīñ
is kārobār-e-shauq kā hāsil bhī chāhiye
paanī aur aag ek jagah chāhiyeñ hameñ
jo shāḳh gul-ba-dast ho qātil bhī chāhiye
sab ko ḳhabar to ho ki vo merā hai bas mirā
pahlū meñ yaar barsar-e-mahfil bhī chāhiye
pā kar charāġh-e-dil kī havas aur baḌh ga.ī
mausūf ko ab ik mah-e-kāmil bhī chāhiye
yuuñ be-kanār ārzūoñ se vasūl kyā
ḳhvāhish ko ek samt bhī sāhil bhī chāhiye
zholīda-mū o chāk-garebāñ sab ahl-e-dil
koī to is qabīle meñ aaqil bhī chāhiye
apnī alag shanāḳht bhī 'imrran' ho zarūr
vo shaḳhs apnī ziist meñ shāmil bhī chāhiye