Imran-ul-haq Chauhan

apne hisse mein hi aane the KHasare sare

Imran-ul-haq Chauhan

apne hisse meñ hī aane the ḳhasāre saare
dost hī dost the bastī meñ hamāre saare
zer-e-lab aah namī aañkh meñ chup chup tanhā
aise hī hote haiñ ye dard ke maare saare
ḳhvāb, ummīd, tamannā.eñ, ta.alluq, rishte
jaan le lete haiñ āḳhir ye sahāre saare
tujh ko ik lafz bhī kahne kī zarūrat kyā hai
ham samajhte haiñ mirī jaan ishāre saare
ishq kyā itnā baḌā jurm hai? jis par yāvar!
dushman-e-jān hue jaan se pyāre saare
aa.e jab tere muqābil to khulā kuchh bhī nahīñ
gul-badan māh-jabīñ nuur ke dhāre saare
haar hī jiit hai ā.īn-e-vafā kī rū se
ye vo baazī hai jahāñ jiit ke haare saare
husn ḳhud qaane huā la.al-o-guhar par varna
ham to aflāk se le aate sitāre saare
kaun kāfir hai ye jab pūchhā gayā vaa.iz se
auj-e-mimbar se sadā aa.ī ki saare saare
Dūbnā likkhā ho taqdīr meñ 'imrran' agar
aap ban jaate haiñ gardāb kināre saare
Top Urdushayar.com