Imran-ul-haq Chauhan

mausam-e-gul hai tere surKH dahan ki had tak

Imran-ul-haq Chauhan

mausam-e-gul hai tire surḳh dahan kī had tak
yā mire zaḳhmoñ se ārāsta tan kī had tak
vaqt har zaḳhm ko bhar detā hai kuchh bhī kiije
yaad rah jaatī hai halkī sī chubhan kī had tak
na kisī gul se ta.alluq na kisī ḳhaar se bair
rabt gulzār se hai bū-e-saman kī had tak
vo mujhe bhuul nahīñ paayā abhī tak ya.anī
maiñ use yaad huuñ māthe kī shikan kī had tak
baat ik aur pas-e-parda-e-alfāz bhī thī
us ne ḳhat merā paḌhā lutf-e-suḳhan kī had tak
mahr-o-mahtāb kī ḳhvāhish se mujhe kyā lenā
mutma.in dil hai jab ik sīm-badan kī had tak
ye jo kahnā hai ki har husn jafā-pesha hai
ek tohmat hai mire rashk-e-adn kī had tak
Top Urdushayar.com