Imran-ul-haq Chauhan

apne lahu mein zahr bhi KHud gholta hun main

Imran-ul-haq Chauhan

apne lahū meñ zahr bhī ḳhud gholtā huuñ maiñ
soz-e-darūñ kisī pe nahīñ kholtā huuñ maiñ
aflāk merī durd-e-tah-e-jām meñ haiñ gum
tasbīh-e-mahr-o-anjum-o-mah roltā huuñ maiñ
kuchh na samajh ke uTh chale sab mere ġham-gusār
jaane vahī ki jis kī zabāñ boltā huuñ maiñ
kyā jaane shāḳh-e-vaqt se kis vaqt gir paḌūñ
mānind-e-barg-e-zard abhī Doltā huuñ maiñ
bāzār-e-dil meñ dard kā gāhak nahīñ koī
mīzān-e-ārzū meñ ziyāñ taultā huuñ maiñ
'imrran' bū-e-gul se haiñ nāḳhun mahak uThe
ye kis hasīñ ke band-e-qabā kholtā huuñ meñ
Top Urdushayar.com