Imran-ul-haq Chauhan

payam le ke hawa dur tak nahin jati

Imran-ul-haq Chauhan

payām le ke havā duur tak nahīñ jaatī
navā-e-ḳhalq-e-ḳhudā duur tak nahīñ jaatī
yahīñ kahīñ pe bhaTaktī haiñ zer-e-charḳh-e-kuhan
hamārī koī duā duur tak nahīñ jaatī
gale meñ halqa-e-zarrīñ halaq meñ luqma-e-tar
tabhī to apnī sadā duur tak nahīñ jaatī
kisī ke chehre ke pīchhe kā haal kyā ma.alūm
shikast-e-dil kī sadā duur tak nahīñ jaatī
mire diye ko bas ik zid sī hai añdhere se
agarche us kī ziyā duur tak nahīñ jaatī
ajiib ḳhauf kā mausam hai in dinoñ 'imrran'
sugandh le ke havā duur tak nahīñ jaatī
Top Urdushayar.com