ham na duniyā ke haiñ na diiñ ke haiñ
ham to ik zulf-e-ambarīñ ke haiñ
shīsha-o-mai se be-niyāz haiñ ham
mast us chashm-e-surmagīñ ke haiñ
rañg ho raushnī ho yā ḳhushbū
sab meñ partav usī hasīñ ke haiñ
chashm-e-be-ḳhvāb dāman-e-gulgūñ
sab karishme usī zahīñ ke haiñ
haiñ makīñ qarya-e-mohabbat ke
āsmāñ ke na ham zamīñ ke haiñ
aa.e the shahr-e-husn meñ ik din
aur ik umr se yahīñ ke haiñ
āyateñ haiñ hamārī qismat kī
ye jo chitvan tirī jabīñ ke haiñ
zulmat-e-shām-e-hijr se 'imrran'
tazkire ek mah-jabīñ ke haiñ