ye jo ābād hone jā rahe haiñ
bahut nāshād hone jā rahe haiñ
judā.ī kī ghaḌī sar par khaḌī hai
ham us kī yaad hone jā rahe haiñ
tirī chashm-e-tamāshā kī havas meñ
faqat barbād hone jā rahe haiñ
giraftārān-e-dām-e-zulf-e-pechāñ
bahut āzād hone jā rahe haiñ
sabhī kuchh bhūltā jaatā hai aur ham
isī meñ shaad hone jā rahe haiñ
sabhī ā.īna-rū o ā.īna-hā
ġhizā-e-bād hone jā rahe haiñ