shahar ujḌe hue ḳhvāboñ ke basā.e kyā kyā
niiñd meñ ham ne dar-o-bām sajā.e kyā kyā
har qadam par kisī manzil kā guzartā thā gumāñ
raah chalte hue manzar nazar aa.e kyā kyā
ham ki phir terī haqīqat pe nazar kar na sake
zindagī tū ne hameñ ḳhvāb dikhā.e kyā kyā
ik sitāra ki chamaktā hai bahut duur kahīñ
zulmat-e-shab meñ hameñ paas bulā.e kyā kyā
mausam-e-gul meñ tirā ham se judā ho jaanā
yaad aa.e to hameñ ḳhuun rulā.e kyā kyā
kho se jaate haiñ kahīñ us kā ḳhayāl aate hī
ham use bhuul ke bhī bhuul na paa.e kyā kyā
mundamil ho ga.e sab zaḳhm purāne to magar
dil kī ik taaza kasak ham ko satā.e kyā kyā
kyā masāfat hai ki hairān kiye detī hai
har guzartā huā pal sāmne laa.e kyā kyā
āñsuoñ ne tirī tasvīr bhī dhundlī kar dī
naqsh paanī pe magar ham ne banā.e kyā kyā
likhne baiTheñ jo kabhī umr-e-guzishta kā hisāb
ek ik lamha hameñ yaad dilā.e kyā kyā
kyā kaheñ vo bhī hameñ raas na aa.ī 'maḳhmūr'
ik ḳhushī jis ke liye rañj uThā.e kyā kyā