lafzoñ ke siyah pairāhan meñ lipTī huī kuchh tanvīreñ haiñ
ai dīda-varo pahchāno to kis haath kī ye tahrīreñ haiñ
jaatī huī rut kab ruktī hai ai dil ye abas tadbīreñ haiñ
jo qaid havāoñ ko kar leñ kyā aisī bhī kuchh zanjīreñ haiñ
naġhma vo kis ne chheḌā hai bichhḌe hue ġham sab aan mile
āvāz kī lahroñ par larzāñ sau mohr-ba-lab tasvīreñ haiñ
āvāra havā ke jhoñkoñ par akasr ye gumāñ guzrā jaise
ye ham se preshāñ-hāloñ kī be-samt-o-jehat taqdīreñ haiñ
is shahr meñ le kar aa.e haiñ ham shabnam-o-gul kī sauġhāteñ
āñkhoñ meñ jahāñ añgāre haiñ hāthoñ meñ jahāñ shamshīreñ haiñ
kuchh ḳhvāb ujāloñ ke ham ne dekhe the magar tā-hadd-e-nazar
jo zulmat ban kar phail ga.iiñ kin ḳhvāboñ kī ta.abīreñ haiñ
kyuuñ aaj kī jānī-pahchānī shakloñ se nazar mānūs nahīñ
āñkhoñ meñ jo phirtī rahtī haiñ kis daur kī ye tasvīreñ haiñ
ham apnī zaat ke zindāñ se bāhar jo nikal aa.e bhī to kyā
qadmoñ se jo lipTī paḌtī haiñ rāheñ ye nahīñ zanjīreñ haiñ