bujh ga.ī dil kī raushnī raah dhuāñ dhuāñ huī
subah chale kahāñ se the shaam hameñ kahāñ huī
shauq kī rāh-e-pur-ḳhatar tai to kar aa.e ham magar
nazr-e-havādis-e-safar daulat-e-jism-o-jāñ huī
ishq-o-junūñ ke vārdāt dīda-o-dil ke sānehāt
biitī huī har ek baat duur kī dāstāñ huī
koī bhī ab nahīñ rahā jis ko sharīk-e-ġham kaheñ
daur-e-tarab kī yaad bhī shāmil-e-raftagāñ huī
luT ga.ī kaise daf.atan raushniyoñ kī anjuman
aa ke kahāñ se ḳhema-zan zulmat-e-be-karāñ huī
kis ko ḳhabar ki ham ne kyā ḳhvāb bane haiñ umr-bhar
kis se kaheñ ki zindagī kis liye rā.egāñ huī
tarz-e-bayāñ to be-qayās the tire ġham-zadoñ ke paas
bol uThī nigāh-e-yās band agar zabāñ huī