Makhmoor Saeedi

aa gaya ho na koi bhes badal kar dekho

Makhmoor Saeedi

Tonk, Rajasthan, India

1938-2010
aa gayā ho na koī bhes badal kar dekho
do qadam saa.e ke hamrāh bhī chal kar dekho
mehmāñ raushniyo saḳht añdherā hai yahāñ
paañv rakhnā mirī chaukhaT pe sambhal kar dekho
kabhī aisā na ho pahchān na paao ḳhud ko
baar baar apne irāde na badal kar dekho
abr aa.egā tabhī pyaas bujhāne pahle
reg-e-sahrā kī tarah dhuup meñ jal kar dekho
din kī dekhī huī har shakl badal jā.egī
raat ke saath zarā ghar se nikal kar dekho
mom ho jā.egā patthar sā ye dil siine meñ
lamha bhar ko kisī pahlū meñ pighal kar dekho
umr-e-rafta ko kahāñ DhūñDh rahe ho 'maḳhmūr'
us ke kūche meñ milegī vahīñ chal kar dekho
Top Urdushayar.com