Makhmoor Saeedi

bayan-e-shauq pe mail wo kam-nazar honge

Makhmoor Saeedi

Tonk, Rajasthan, India

1938-2010
bayān-e-shauq pe maa.il vo kam-nazar hoñge
jo zabt-e-shauq kī lazzat se be-ḳhabar hoñge
lazīz ho to hikāyat darāz hotī hai
ham ahl-e-ġham ke fasāne to muḳhtasar hoñge
milegī ishq kī un meñ bhī kār-farmā.ī
vo hādse jo kisī aur naam par hoñge
khulā na thā ye kabhī raaz un kī qurbat meñ
ki duur ho ke vo mujh se qarīb-tar hoñge
tū āftāb-e-haqīqat kahīñ tulūa to ho
na ho sakeñ tire ham rū-ba-rū magar hoñge
jo gaa.e haiñ vahī naġhme bhī ḳhair mere haiñ
magar jo gā na sakā vo hasīn-tar hoñge
ab un kā zikr mirī guftugū meñ hai 'maḳhmūr'
ab e'tirāz mirī baat baat par hoñge
Top Urdushayar.com