bikharte TūTte lamhoñ ko apnā ham-safar jaanā
ki thā is raah meñ āḳhir hameñ ḳhud bhī bikhar jaanā
sar-e-dosh-e-havā ik abr-pāre kī tarah ham haiñ
kisī jhoñke se pūchheñge ki hai ham ko kidhar jaanā
dil-e-āvāra kyā pābañd-e-zanjīr-e-ta.alluq ho
na thā bas meñ kisī ke bhī havā ko qaid kar jaanā
pas-e-zulmat koī sūraj hamārā muntazir hogā
isī ik vahm ko ham ne chirāġh-e-rah-guzar jaanā
hameñ to saath denā hai rafīqān-e-talātum kā
mubārak tujh ko tanhā is nadī ke paar utar jaanā
mire jalte hue ghar kī nishānī bas yahī hogī
jahāñ is shahr meñ kuchh raushnī dekho Thahar jaanā
suhāne mausamoñ kī yaad sikhlāyā tujhe kis ne
ufuq par diida o dil ke dhanak ban kar bikhar jaanā
hisār-e-zabt meñ rah kar ma.āl-e-hasrat-e-dil kyā
kisī qaidī parinde kī tarah ghuT ghuT ke mar jaanā
dayār-e-ḳhāmushī se koī rah rah kar bulātā hai
hameñ 'maḳhmūr' ik din hai usī āvāz par jaanā