Makhmoor Saeedi

jab koi sham-e-hasin nazr-e-KHarabaat hui

Makhmoor Saeedi

Tonk, Rajasthan, India

1938-2010
jab koī shām-e-hasīñ nazr-e-ḳharābāt huī
aksar aise meñ tire ġham se mulāqāt huī
āp-apne ko na pahchān sake ham tā-der
un se bichhḌe to ajab sūrat-e-hālāt huī
husn se nibh na na sakī vaz-e-karam āḳhir tak
avval avval to mohabbat kī mudārāt huī
roz mai pī hai tumheñ yaad kiyā hai lekin
aaj tum yaad na aa.e ye na.ī baat huī
us ne āvāz meñ āvāz milā dī thī kabhī
aaj tak ḳhatm na mausīqi-e-jazbāt huī
dil pe ik ġham kī ghaTā chhā.ī huī thī kab se
aaj un se jo mile TuuT ke barsāt huī
kis kī parchhā.īñ paḌī kaun idhar se guzrā
itnī rañgīñ jo guzargāh-e-ḳhayālāt huī
un se ummīd-e-mulāqāt ke ba.ad ai 'maḳhmūr'
muddatoñ tak na ḳhud apne se mulāqāt huī
Top Urdushayar.com