Makhmoor Saeedi

ek bar mil ke phir na kabhi umr bhar mile

Makhmoor Saeedi

Tonk, Rajasthan, India

1938-2010
ik baar mil ke phir na kabhī umr bhar mile
do ajnabī the ham jo sar-e-rah-guzar mile
kuchh manziloñ ke ḳhvāb the kuchh rāstoñ ke dhuul
nikle safar pe ham to yahī ham-safar mile
yuuñ apnī sarsarī sī mulāqāt ḳhud se thī
jaise kisī se koī sar-e-rah-guzar mile
ik shaḳhs kho gayā hai jo raste kī bhiiḌ meñ
is kā pata chale to kuchh apnī ḳhabar mile
apne safar meñ yuuñ to akelā huuñ maiñ magar
saaya sā ek raah ke har moḌ par mile
barsoñ meñ ghar ham aa.e to begāna-vār aaj
ham se ḳhud apne ghar ke hī dīvār-o-dar mile
'maḳhmūr' ham bhī raqs kareñ mauj-e-gul ke saath
khul kar jo ham se mausam-e-dīvāna-gar mile
Top Urdushayar.com