Makhmoor Saeedi

kasak purane zamane ki sath laya hai

Makhmoor Saeedi

Tonk, Rajasthan, India

1938-2010
kasak purāne zamāne kī saath laayā hai
tirā ḳhayāl ki barsoñ ke baad aayā hai
kisī ne kyuuñ mire qadmoñ tale bichhāyā hai
vo rāsta ki kahīñ dhuup hai na saayā hai
Dagar Dagar vahī galiyāñ chalī haiñ saath mire
qadam qadam pe tirā shahr yaad aayā hai
batā rahī hai ye shiddat ujaaḌ mausam kī
shaguft-e-gul kā zamāna qarīb aayā hai
havā-e-shab se kaho aa.e phir bujhāne ko
charāġh ham ne sar-e-shām phir jalāyā hai
kaho ye Dūbte tāroñ se do ghaḌī ruk jaa.eñ
nishān-e-gum-shudagāñ muddatoñ meñ paayā hai
bas ab ye pyaas kā sahrā ubuur kar jaao
nadī ne phir tumheñ apnī taraf bulāyā hai
fusūn-e-ḳhvāb-e-tamāshā ki TūTtā jaa.e
maiñ so rahā thā ye kis ne mujhe jagāyā hai
sulag uThe haiñ sharāre badan meñ kyuuñ 'maḳhmūr'
ḳhunuk havā ne jo baḌh kar gale lagāyā hai
Top Urdushayar.com