Makhmoor Saeedi

jada-e-marg-e-musalsal se guzarta jaun

Makhmoor Saeedi

Tonk, Rajasthan, India

1938-2010
jāda-e-marg-e-musalsal se guzartā jā.ūñ
zindagī ye hai ki har saañs meñ martā jā.ūñ
ḳhuun har lamha-e-maujūd kā kartā jā.ūñ
rañg tasvīr-e-shab-o-roz meñ bhartā jā.ūñ
muntashir silsila-e-ġham ko to kartā jā.ūñ
saath hī saath magar ḳhud bhī bikhartā jā.ūñ
bas yūñhī hamsarī-e-ahl-e-jahāñ mumkin hai
dam-ba-dam apnī bulandī se utartā jā.ūñ
maiñ kisī manzil-e-hastī pe kahāñ ruktā thā
raah meñ tum jo na mil jaao guzartā jā.ūñ
umr bhar jāda-e-pur-ḳhār pe chalnā hogā
do-ghaḌī sāya-e-gul meñ bhī Thahartā jā.ūñ
apnī qismat huuñ ulajhtā hī chalā jaatā huuñ
terī taqdīr nahīñ huuñ ki sañvartā jā.ūñ
madd-o-jazr-e-yam-e-ehsās kā parvarda huuñ
Dūbtā jā.ūñ magar ḳhud hī ubhartā jā.ūñ
aa hī niklā huuñ jo yādoñ ke khañDar tak 'maḳhmūr'
bhūle-bisroñ se mulāqāt bhī kartā jā.ūñ
Top Urdushayar.com