adhūrī qurbatoñ ke ḳhvāb āñkhoñ ko dikhā jaanā
hazāroñ dūriyoñ par ye tirā kuchh paas aa jaanā
udāsī ke dhuñdlakoñ kā dimāġh-o-dil pe chhā jaanā
nazar ke sāmne ik gum-shuda manzar kā aa jaanā
sunī hai maiñ ne akasr band darvāzoñ kī sargoshī
sadā.eñ chāhtī haiñ sab khulī saḌkoñ pe aa jaanā
tirī yādeñ ki is tūfān-e-zulmat meñ bhī raushan haiñ
huā mushkil havā ko in charāġhoñ kā bujhā jaanā
ḳhalā meñ Dūbtī sī āhaTeñ thiiñ kuchh jinheñ ham ne
safar meñ saath rakkhā manziloñ kā aasrā jaanā
maiñ tere saath huuñ to us kī ḳhushbū ke ta.āqub meñ
jahāñ tak jā sake ai sar-phirī mauj-e-havā jaanā
nazar us kī bhī ai 'maḳhmūr' dhokā khā ga.ī āḳhir
vahī thā āshnā chehra jise nā-āshnā jaanā