Makhmoor Saeedi

chaDhte dariya se bhi gar par utar jaoge

Makhmoor Saeedi

Tonk, Rajasthan, India

1938-2010
chaḌhte dariyā se bhī gar paar utar jāoge
paañv rakhte hī kināre pe bikhar jāoge
vaqt har moḌ pe dīvār khaḌī kar degā
vaqt kī qaid se ghabrā ke jidhar jāoge
ḳhāna-barbād samajh kar hameñ Dhaltī huī raat
tanz se pūchhtī hai kaun se ghar jāoge
sach kaho shaam kī āvāra havā ke jhoñko
us kī ḳhushbū ke ta.āqub meñ kidhar jāoge
aage baḌh jā.eñge phir donoñ hī chup chup yuuñ to
maiñ pukārūñgā tumheñ tum bhī Thahar jāoge
zabt-e-ehsās ke zindāñ se kahīñ bhaag chalo
aur kuchh der yahāñ Thahre to mar jāoge
naqsh-e-imroz se aage na nigāheñ dauḌāo
kal kī tasvīr jo dekhoge to Dar jāoge
maiñ bhī saaya huuñ siyah raat meñ kho jā.ūñgā
tum bhī ik ḳhvāb ho pal-bhar meñ bikhar jāoge
rāste shahr ke sab band hue haiñ tum par
ghar se nikaloge to 'maḳhmūr' kidhar jāoge
Top Urdushayar.com