Makhmoor Saeedi

sine mein kasak ban ke utarne ke liye hai

Makhmoor Saeedi

Tonk, Rajasthan, India

1938-2010
siine meñ kasak ban ke utarne ke liye hai
har lamha-e-hāsil ki guzarne ke liye hai
sañvaregā na is shaam sar-e-ā.īna koī
ye shaam to tere hī sañvarne ke liye hai
nāmūs-e-gulistāñ kā taqāzā sahī kuchh bhī
ḳhushbū to magar qaid na karne ke liye hai
tum ret meñ chāho to use khe na sakoge
kashtī jo samundar meñ utarne ke liye hai
kuchh aur nahīñ dil kī tamannāoñ kā hāsil
is shāḳh kā har phuul bikharne ke liye hai
soī huī har Tiis kabhī jaag uThegī
jo zaḳhm hai is dil meñ na bharne ke liye hai
tasvīr-e-ġham-e-dil na kabhī maand paḌegī
miTtā huā har naqsh ubharne ke liye hai
ye qāfila-e-umr-e-ravāñ rāh-e-talab par
do-chār qadam chal ke Thaharne ke liye hai
'maḳhmūr' ye duniyā vo rasad-gāh-e-ajal hai
zinda hai yahāñ koī to marne ke liye hai
Top Urdushayar.com