vo daur-e-nashāt-o-dīda-o-dil jaise bas abhī guzrā hī to hai
siine kī kasak kis tarah miTe har dāġh-e-kuhan taaza hī to hai
tū saath kahāñ lekin ab tak har rahguzar-e-tanhā.ī par
jo aage aage chaltā hai ai dost koī tujh sā hī to hai
is tā.ir-e-āvāra ke liye yuuñ jaal na bun ummīdoñ ke
uḌtā huā lamha jaise abhī roke se tire ruktā hī to hai
mālūm nahīñ kis vaqt ye kyā bartāv kisī se kartī hai
duniyā se koī ummīd na rakh māyūs na ho duniyā hī to hai
kirneñ na.e din ke sūraj kī phaileñgī to gum ho jā.egā
tārīk hai jis se dil kā ufuq guzrī shab kā saayā hī to hai
lamhoñ ke hujūm-e-gurezāñ meñ ik lamha jise apnā kahiye
jaañ de ke bhī haath aa jaa.e agar mahñgā kab hai sastā hī to hai
'maḳhmūr' ta.āqub kar dekho kuchh duur nahīñ haath aa jaa.e
ik gum-shuda ḳhushbū kā jhoñkā āñgan se abhī guzrā hī to hai