Makhmoor Saeedi

faza mein kaisi udasi hai kya kaha jae

Makhmoor Saeedi

Tonk, Rajasthan, India

1938-2010
fazā meñ kaisī udāsī hai kyā kahā jaa.e
ajiib shaam ye guzrī hai kyā kahā jaa.e
ka.ī gumān hameñ zindagī pe guzre haiñ
ye ajnabī hai ki apnī hai kyā kahā jaa.e
vo dhuup dushman-e-jāñ thī so thī ḳhamosh the ham
ye chāndnī hameñ Dastī hai kyā kahā jaa.e
yahāñ bhī dil pe udāsī kā chhā rahā hai dhuāñ
ye rañg o nuur kī bastī hai kyā kahā jaa.e
koī payām hamāre liye nahīñ na sahī
magar sadā to usī kī hai kyā kahā jaa.e
hamāre ahd ke uljhe hue savāloñ kā
javāb sirf ḳhamoshī hai kyā kahā jaa.e
zabāñ pe shukr o shikāyat ke sau fasāne haiñ
magar jo dil pe guzartī hai kyā kahā jaa.e
tamām shahr ko kyuuñ chup lagī hai kyā jāneñ
ghuTan diloñ meñ ye kaisī hai kyā kahā jaa.e
shanāḳht dost na dushman kī mo'tabar 'maḳhmūr'
har ek shakl hī dhundlī hai kyā kahā jaa.e
Top Urdushayar.com