Makhmoor Saeedi

na kam hua hai na ho soz-e-iztirab-e-durun

Makhmoor Saeedi

Tonk, Rajasthan, India

1938-2010
na kam huā hai na ho soz-e-iztirāb-e-durūñ
tire qarīb rahūñ maiñ ki tujh se duur rahūñ
kahīñ koī tirā mahram hai ai dil-e-mahzūñ
mujhe batā ki kidhar jā.ūñ kis se baat karūñ
tirī nazar ne bahut kuchh sikhā diyā dil ko
kuchh itnā sahl na thā varna kārobār-e-junūñ
pukārtī haiñ mujhe vus.ateñ do-ālam kī
maiñ apne aap se dāman chhuḌā sakūñ to chalūñ
tirī vafā na mujhe raas aa sakī lekin
maiñ sochtā huuñ tujhe kaise bevafā kah duuñ
mirī shikasta-dilī kā na kar ḳhayāl itnā
kahīñ na maiñ tire ḳhvāboñ meñ talḳhiyāñ bhar duuñ
giraft-e-asr-e-ravāñ is qadar to mohlat de
ki miT rahī hai jo duniyā use maiñ dekh to luuñ
ye kis ḳhayāl ne kī hai mirī zabāñ-bandī
tujhī se kahne kī bāteñ tujhī se kah na sakūñ
vo iztirāb-talab thā kisī tavaqqo par
ab uTh chukī hai tavaqqo ab aa chalā hai sukūñ
Top Urdushayar.com