Makhmoor Saeedi

likh kar waraq-e-dil se miTane nahin hote

Makhmoor Saeedi

Tonk, Rajasthan, India

1938-2010
likh kar varaq-e-dil se miTāne nahīñ hote
kuchh lafz haiñ aise jo purāne nahīñ hote
jab chāhe koī phūñk de ḳhvāboñ ke nasheman
āñkhoñ ke ujaḌne ke zamāne nahīñ hote
jo zaḳhm azīzoñ ne mohabbat se diye hoñ
vo zaḳhm zamāne ko dikhāne nahīñ hote
ho jaa.e jahāñ shaam vahīñ un kā baserā
āvāra parindoñ ke Thikāne nahīñ hote
be-vaj.h ta.alluq koī be-nām rifāqat
jiine ke liye kam ye bahāne nahīñ hote
kahne ko to is shahr meñ kuchh bhī nahīñ badlā
mausam magar ab utne suhāne nahīñ hote
siine meñ kasak ban ke base rahte haiñ barsoñ
lamhe jo palaT kar kabhī aane nahīñ hote
āshufta-sarī meñ hunar-e-harf-o-navā kyā
lafzoñ meñ bayāñ ġham ke fasāne nahīñ hote
'maḳhmūr' ye ab kyā hai ki bār-e-ġham-e-dil se
bojhal mire ehsās ke shāne nahīñ hote
Top Urdushayar.com