Makhmoor Saeedi

labon pe hai jo tabassum to aankh pur-nam hai

Makhmoor Saeedi

Tonk, Rajasthan, India

1938-2010
laboñ pe hai jo tabassum to aañkh pur-nam hai
shu.ūr-e-ġham kā ye aalam ajiib aalam hai
guzar na jāda-e-imkāñ se be-ḳhayālī meñ
yahīñ kahīñ tirī jannat yahīñ jahannam hai
bhaTak rahā hai dil imroz ke añdheroñ meñ
nishān-e-manzil-e-fardā bahut hī mub.ham hai
baḌhā diyā hai asīroñ kī ḳhasta-hālī ne
qafas se tā-ba-chaman varna fāsla kam hai
abhī nahīñ kisī aalam meñ dil Thaharne kā
abhī nazar meñ tirī anjuman kā aalam hai
kahāñ ye zindagi-e-harza-gard le aa.ī
na rahguzār-e-tarab hai na jāda-e-ġham hai
kuchh aise ham ne tire ġham kī parvarish kī hai
ki jaise maqsad-e-hastī faqat tirā ġham hai
Top Urdushayar.com