ye kaisā rabt huā dil ko terī zaat ke saath
tirā ḳhayāl ab aatā hai baat baat ke saath
kaThin thā marhala-e-intizār-e-sub.h bahut
basar huā huuñ maiñ ḳhud bhī guzartī raat ke saath
paḌīñ thiiñ pā-e-nazar meñ hazār zanjīreñ
bañdhā huā thā maiñ apne tavahhumāt ke saath
jalūs-e-vaqt ke pīchhe ravāñ maiñ ik lamha
ki jaise koī janāza kisī barāt ke saath
kabhī kabhī to ye lagtā hai jaise ye duniyā
badal rahī ho mire dil kī vārdāt ke saath
jo duur se bhī kisī ġham kā sāmnā ho jaa.e
pukārtā hai mujhe kitne iltifāt ke saath
taḌaḳh ke TuuT gayā dil kā ā.īna 'maḳhmūr'
paḌā jo aks-e-fanā partav-e-hayāt ke saath