Makhmoor Saeedi

gham o nashat ki har rahguzar mein tanha hun

Makhmoor Saeedi

Tonk, Rajasthan, India

1938-2010
ġham o nashāt kī har rahguzar meñ tanhā huuñ
mujhe ḳhabar hai maiñ apne safar meñ tanhā huuñ
mujhī pe sañg-e-malāmat kī bārisheñ hoñgī
ki is dayār meñ shorīda-sar meñ tanhā huuñ
tire ḳhayāl ke jugnū bhī saath chhoḌ ga.e
udaas raat ke suune khañDar meñ tanhā huuñ
girāñ nahīñ hai kisī par ye raat mere sivā
ki mubtilā maiñ ummīd-e-sahar meñ tanhā huuñ
na chhoḌ saath mirā in akelī rāhoñ meñ
dil-e-ḳharāb tirā ham-safar maiñ tanhā huuñ
vo be-niyāz ki dekhī ho jaise ik duniyā
mujhe ye naaz maiñ us kī nazar meñ tanhā huuñ
mujhī se kyuuñ hai ḳhafā merā ā.īna 'maḳhmūr'
is andhe shahr meñ kyā ḳhud-nigar maiñ tanhā huuñ
Top Urdushayar.com