jānib-e-kūcha-o-bāzār na dekhā jaa.e
ġhaur se shahr kā kirdār na dekhā jaa.e
khiḌkiyāñ band kareñ chhup ke gharoñ meñ baiTheñ
kyā samāñ hai pas-e-dīvār na dekhā jaa.e
surḳhiyāñ ḳhuun meñ Duubī haiñ sab aḳhbāroñ kī
aaj ke din koī aḳhbār na dekhā jaa.e
shahr kā shahr gunahgār to ho saktā hai
jab kahīñ koī gunahgār na dekhā jaa.e
dasht se kam nahīñ vīrāñ koī bastī 'maḳhmūr'
ye hujūm-e-dar-o-dīvār na dekhā jaa.e