Makhmoor Saeedi

kitni diwaren uThi hain ek ghar ke darmiyan

Makhmoor Saeedi

Tonk, Rajasthan, India

1938-2010
kitnī dīvāreñ uThī haiñ ek ghar ke darmiyāñ
ghar kahīñ gum ho gayā dīvār-o-dar ke darmiyāñ
kaun ab is shahr meñ kis kī ḳhabar-gīrī kare
har koī gum ik hujūm-e-be-ḳhabar ke darmiyāñ
jagmagā.egā mirī pahchān ban kar muddatoñ
ek lamha an-ginat shaam o sahar ke darmiyāñ
ek saa.at thī ki sadiyoñ tak safar kartī rahī
kuchh zamāne the ki guzre lamha bhar ke darmiyāñ
vaar vo karte raheñge zaḳhm ham khāte raheñ
hai yahī rishta purānā sañg o sar ke darmiyāñ
kyā kahe har dekhne vaale ko āḳhir chup lagī
gum thā manzar iḳhtilāfāt-e-nazar ke darmiyāñ
kis kī aahaT par añdheroñ meñ qadam baḌhte ga.e
rūnumā thā kaun is andhe safar ke darmiyāñ
kuchh añdherā sā ujāloñ se gale miltā huā
ham ne ik manzar banāyā ḳhair-o-shar ke darmiyāñ
bastiyāñ 'maḳhmūr' yuuñ ujḌīñ ki sahrā ho ga.iiñ
fāsle baḌhne lage jab ghar se ghar ke darmiyāñ
Top Urdushayar.com