Makhmoor Saeedi

mujh mein kisi ka aks na partaw Khaali aaina hun main

Makhmoor Saeedi

Tonk, Rajasthan, India

1938-2010
mujh meñ kisī kā aks na partav ḳhālī ā.īna huuñ maiñ
mere TukḌe kaun sameTe ab TūTūñ yā bikhrūñ maiñ
merī rasā.ī merī hadoñ tak terī fazā meñ tū bhī qaid
tū mujh tak aa.e to kyūñ-kar tujh tak kaise pahuñchūñ maiñ
ruḳh pe jo tere shafaq khilī hai ḳhuun hai mere ḳhvāboñ kā
kahe tū ai shām-e-tanhā.ī tujh se lipaT kar ro luuñ maiñ
duurī ke ye lamhe baḌh kar kahīñ na sadiyāñ ban jaa.eñ
tujh ko jab apne paas na pā.ūñ jaane kyā kyā sochūñ maiñ
dīvāroñ se sar Takrā.ūñ band darīchoñ ke pīchhe
khulī fazā meñ aa niklūñ to mauj-e-havā se uljhūñ maiñ
kaun sunegā ye tūlānī qissa kis ko fursat hai
jo kuchh mujh par biit rahī hai apne dil meñ rakkhūñ maiñ
lafzoñ meñ ehsās kī kaliyāñ khilā rahā huuñ ai 'maḳhmūr'
jaise koī mujh se kahtā ho aa tere lab chūmūñ maiñ
Top Urdushayar.com