dīda-o-dil kī fazā par ġham ke bādal chhā ga.e
us ke jaate hī nigāhoñ ke ufuq sañvlā ga.e
dil to patthar ban gayā thā mom kis ne kar diyā
muddatoñ ba.ad aaj kyuuñ āñkhoñ meñ aañsū aa ga.e
thī sukūt-e-dil se pahle bazm-e-hastī par ḳharosh
phir vo sannāTā huā taarī ki ham ghabrā ga.e
be-hisī kā sard mausam zindagī par chhā gayā
dil meñ raushan the jo añgāre vo sab kajlā ga.e
rū-ba-rū ik ajnabī chehra savālī kī tarah
aa.ina dekhā to ai 'maḳhmūr' ham ghabrā ga.e