fitna-e-gardish-e-ayyām se jī Dartā hai
sāya-e-zulf-e-siyah-e-fām se jī Dartā hai
din ke siine meñ dhaḌakte hue lamhoñ kī qasam
shab kī raftār-e-subuk-gām se jī Dartā hai
vahī tārīk darīche vahī be-nūr shafaq
partav-e-mehr-e-tahī-dām se jī Dartā hai
vahī be-vaj.h udāsī vahī be-nām ḳhalish
rasm-e-rāh-e-dil-e-nākām se jī Dartā hai
vahī sunsān fazā.eñ vahī vīrāñ sā nagar
aa ke baiTho to dar-o-bām se jī Dartā hai