ek muddat se dard kam kam hai
jaane kis baat kā mujhe ġham hai
jaane kyuuñ dil ko be-qarārī hai
jaane kyuuñ aaj aañkh pur-nam hai
vus.at-e-tishnagī hai be-pāyāñ
aur piine ko sirf shabnam hai
terī āñkhoñ ko chuum luuñ lekin
kyā karūñ dil kā hausla kam hai
husn kī mumlikat bahut mahdūd
ishq ke saath ek aalam hai
saath huuñ tere ai ġham-e-daurāñ
zulf-e-jānāñ agarche barham hai