ham āgahī ko rote haiñ aur āgahī hameñ
vāraftagi-e-shauq kahāñ le chalī hameñ
letī ga.ī thī ham se sabā zauq-e-dilbarī
detī ga.ī thī lazzat-e-be-rah-ravī hameñ
un ke ġhurūr-o-ġhamza-o-nāz-o-adā kī ḳhair
raas aa chalī thī rasm-o-rah-e-āshiqī hameñ
ham zarra zarra DhūñD chuke mauja-e-sarāb
aur qatra qatra DhūñD chukī tishnagī hameñ
aa.ī thī chand gaam usī bevafā ke saath
phir umr bhar ko bhuul ga.ī zindagī hameñ