tire aane ke haiñ jo āsare sone nahīñ dete
hameñ ḳhush-fahmiyoñ ke silsile sone nahīñ dete
mohabbat se hameñ tū ne palaT kar kyoñ nahīñ dekhā
tirī badlī nazar ke zāviye sone nahīñ dete
vo rahtā bevafā lekin nazar ke sāmne rahtā
nazar se duur hai to fāsle sone nahīñ dete
na jaane ḳhauf kī parchhā.iyāñ kaisī musallat haiñ
ki andeshoñ ke ham ko azhdahe sone nahīñ dete
sarā.e meñ Thahar kar bhī hameñ to jāgnā hogā
ravāna hone vaale qāfile sone nahīñ dete
har aahaT pe gumāñ hotā hai tere lauT aane kā
nahīñ hai aas lekin hausle sone nahīñ dete
'qamar' maiñ raat bhar jāgūñ to hai is meñ ta.ajjub kyā
chamakne ke taqāze hī mujhe sone nahīñ dete