ārzūoñ ko apnī kam na karo
jiinā chāho to koī ġham na karo
haath aa.e ḳhushī to ḳhush holo
dil ho ġhamgīñ to aañkh nam na karo
jaisī mil jaa.e jis qadar mil jaa.e
pī bhī lo fikr-e-besh-o-kam na karo
jaisī guzre guzārte jaao
sāz-o-sāmāñ koī baham na karo
log kahte phireñ tumheñ kyā kyā
aap apne pe ye sitam na karo
jī meñ jo aa.e vo likho sāhab
jo zamāna kahe raqam na karo