vo na pahchāne ye ḳhadsha sā lagtā rahtā hai
ruḳh pe us ke nayā chehra sā lagā rahtā hai
apne ghar meñ bhī to hai chain se sonā mushkil
chhat na gir jaa.e ye khaTkā sā lagā rahtā hai
vo zamīñ ḳhaak ugā.egī adāvat ke sivā
pyaar par jis jagah pahra sā lagā rahtā hai
bhiiḌ chhaTtī nahīñ is kalba-e-ahzāñ se kabhī
ārzūeñ haiñ ki mela sā lagā rahtā hai
saaf kitnā hī kareñ dāman-e-qātil ko halīf
lauh-e-tārīḳh pe dhabbā sā lagā rahtā hai
tere aane kī ḳhushī bhī nahīñ hotī 'partav'
tū chalā jā.egā dhaḌkā sā lagā rahtā hai