apne markaz pe na puurā huā chakkar merā
ajnabī haath badalte rahe mehvar merā
mere qālib kī shanāsā nahīñ hai.at merī
apne saa.e se bhī bezār hai paikar merā
mere siine pe to dushman kā koī zaḳhm nahīñ
mere pahlū meñ jo utrā hai to ḳhanjar merā
maiñ to ab tak nahīñ sīkhā huuñ zamīñ par chalnā
aur ḳhalāoñ meñ hai chhāyā huā shahpar merā
kis ko baḳhshā hai ḳhudāyā mirī qismat likhnā
kis ke hāthoñ meñ diyā tū ne muqaddar merā
maiñ vo sultāñ huuñ ki ghaTtī hai riyāsat jitnī
utnā utnā hī baḌhā kartā hai lashkar merā
band-e-ġham TūTne vaalā hai kisī dam 'partav'
aisā lagtā hai chhalakne ko hai sāġhar merā