is dasht-e-halākat se guzar kaun karegā
be-amn ḳharāboñ meñ safar kaun karegā
ḳhurshīd jo Dūbeñge ubharne hī se pahle
is tīrgī-e-shab kī sahar kaun karegā
chhin jaa.eñ sar-e-rāh jahāñ chādareñ sar kī
us zulm kī nagrī meñ basar kaun karegā
jis daur meñ ho be-hunarī vaj.h-e-siyādat
us daur meñ tash.hīr-e-hunar kaun karegā
uḌ jā.eñge jañgal kī taraf saare parinde
mīnāra-e-larzāñ pe basar kaun karegā
is ḳhauf-e-musalsal meñ guzar hogī to kyūñkar
suulī pe har ik raat basar kaun karegā
muzhda mujhe jiine kā bhalā kis ne diyā thā
mujh ko mire marne kī ḳhabar kaun karegā