Irshad Qamar Bukhari

sulagti aankh ka sapna dikhai deta hai

Irshad Qamar Bukhari

sulagtī aañkh kā sapnā dikhā.ī detā hai
vo ek shaḳhs jo apnā dikhā.ī detā hai
mirī balā se vo auroñ ko jis tarah bhī lage
mujhe to mere hī jaisā dikhā.ī detā hai
vo raushnī kī kiran hai bikhartā jaatā hai
hujūm-e-shahr meñ yaktā dikhā.ī detā hai
bas ab to ek hī sūrat hai jaañ bachāne kī
bas ab to ek hī rasta dikhā.ī detā hai
utar ke baam se aayā hai mere āñgan meñ
'qamar' maiñ dekhūñ vo kaisā dikhā.ī detā hai
Top Urdushayar.com