us garmī-e-bāzār se baḌh kar nahīñ kuchh bhī
sach jāniye dukkān ke andar nahīñ kuchh bhī
ham johd-e-musalsal se jahāñ TuuT ke gir jaa.eñ
vo lamha haqīqat hai muqaddar nahīñ kuchh bhī
majbūr tajassus ne kiyā hai hameñ varna
is qaid kī dīvār ke bāhar nahīñ kuchh bhī
ye merī tamannā hai ki jumbish meñ haiñ parde
ik ḳhvāhish-e-paiham hai pas-e-dar nahīñ kuchh bhī
afkār kī aqlīm virāsat hai hamārī
aur is ke sivā ham ko mayassar nahīñ kuchh bhī
darvesh bhī hote hue ham aise ġhanī haiñ
dārā.ī-e-duniyā-e-sikandar nahīñ kuchh bhī
jis taḳht-e-ġhinā par mutamakkin huuñ maiñ 'partav'
us daulat-e-behad ke barābar nahīñ kuchh bhī